The poem
Read it in Urdu script-
Wo Zard Patoon Ki Pahli Barish Aur Mosmon Ka Machalte Rehna
-
Wo Gungati Lehron Ki Sargam Aur Yun Teri Yaadon Ka Sulgate Rehna
-
Wo Nange Paon Dhop Mein Chalna Aur Dukhon Ko Ginte Rehna
-
Yun Raat Jugnos Ki Bna Ke Mala Khud Farebi Mein Hanste Rehna
-
Tha Ghamon Ka Ik Gehra Jungle Aur Khof Ki Dushwar Rahain
-
Gira Ke Bijli Yun Aashiyan Pey Phir Apne Dil Ko Masalte Rehna
-
Khazan Mein Girte Wo Pele Moti Aur Unka Darkhton Se Phisalte Rehna
-
Phir Wo Yaad Aye Ke Jaan Se Guzre Aur Yun Dukh Sumandar Mein Dhalte Rehna


