The poem
Read it in Urdu script-
Safr K Waste Kuch Asbab Aj Day Dalo Bohat Se Duain Aur Naye Khawab Day Dalo
-
Mere Ghamon Ne Mere Chiraghon Ko Buja Rakha Hai Rah Mai Roshni Ke Liye Kuch Mahtab Aaj De Dalo
-
Waqt Ki Aag Ne Jism Ko Jila Ke Khak Kia Kafn Ke Waste Thora Sa Kamkhwab Aaj De Dalo
-
Muje Sanam Ke Huzor Jane Ke Waste Yaaro Pe Ke Na Behkon Aesi Shrab De Dalo
-
Tumhare Ishq Mai Yun Khoya Ke Khuda Na Yaad Rha Mere Sab Sajdo Ko Mimbar-o Mehrab De Dalo
Submitted by Shabeeb Hashmi


