The poem
Read it in Urdu script-
Baad Mudat Usay Dekha Logo Wo Zara Bi Nahi Badla Logo
-
Khush Na Tha Muj Se Bichar Kar Wo Bi Us Ke Chehray Par Likha Tha Logo
-
Us Ke Aankhain Bi Kehay Deti Thi Raat Bhar Wo Bi Na Soya Logo
-
Ajnabi Ban Kar Jo Guzra Hai Abi Tha Kis Waqt Main Apna Logo
-
Dost Tu Khair Koi Kisi Ka Hai Us Ne Dushman Bi Na Smjha Logo
-
Raat Wo Dard Mere Dil Me Utha Subah Tak Chain Na Aya Logo



