The poem
Read it in Urdu script-
Meri Aankhon Mein Ansoo Pighalta Raha, Chaand Jalta Raha Teri Yaado Ka Sooraj Nikalta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Koi Bistar Pay Shabnam Lapete Hue Khawab Dekha Kya Koi Yaado Mein Karvat Badalta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Meri Aankhon Mein Campus Ki Sab Saaetein Jaagti Hain Abhi Neher Par Too Maray Sath Chalta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Mein To Yeh Jaanta Hon Ke Jis Shab Mujhe Chore Kar Tum Gaye Asmano Se Shola Nikalta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Raat Aayi To Kya Kya Tamashay Hue, Tujh Ko Maloom Hai ? Teri Yaado Ka Sooraj Ubalta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay Dil Tadapta Raha, Haath Milta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Yeh Decemeber Ke Jis Mein Kari Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagey Tum Nahi To Decemeber Sulagta Raha, Chaand Jalta Raha
-
Aaj Bhi Woh Taqaddus Bhari Raat Mehki Hui Hai Wasii Mein Kisi Mein, Koi Mujh Mein Dhalta Raha, Chaand Jalta Raha
Submitted by iqbal designs


