The poem
Read it in Urdu script-
Tay Kesi Ki Sadyon Ki Pyas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna Bari Dil Ruba Hai Ye Sari Khani, Zara Phir Se Kehna
-
Kahan Se Chala Tha Judai Ka Saya, Nahi Dekh Paya Ke Raste Main Aanson Ki Rwani, Zara Phir Se Kehna
-
Hawa Ye Khabar Tu Sunati Rahe Aur Main Sunta Rhon Badalne Ko Hai Ab Ye Mosam Khzani, Zara Phir Se Kehna
-
Mukr Jane Wala Kabi Zindagi Mai Khushi Phir Na Paye Yunhi Khatam Kar Lain, Chalo Ye Khani, Zara Phir Se Kehna
-
Smay Ke Samandar Kaha Tu Ne Jo Bi Suna Par Na Samjhe Jawani Ki Nadi Mai Tha Teez Pani, Zara Phir Se Kehna


