The poem
Read it in Urdu script-
Eid Ka Din Gale Aj To Mil Lay Zalim Zakhm-e Dunya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai
-
Ishq Is Tarah Ke Gustakh Taqazy Na Kare Husn Mazdor Bi, Majboor Bi, Magroor Bi Hai
-
Ghroor-e Husn Ke Sadqe Mohabat Yun Nahi Karte Bhari Mehfil Mai Zahir Dil Ki Wehshat Yun Nahi Karte
-
Ye Mana Tum Haseen Aur Tumhain Haq Hai Shirart Ka Kisi K Jan Pe Ban Jaye Shirart Yun Nahi Karte
-
Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka Adab Lazam Hai Kaabe Ki Zayart Yun Nahi Karte
-
Kuch Apne Husn Ki Kheerat De Do Ham Faqeron Ko Kisi Sayal Ko Apne Dar Se Ruksat Yun Nahi Karte
-
Haya Aur Shram Ko Ham Husn Ka Zeewar Samjhte Hain Ye Zeewar Lut Ke Reh Jaye Sikhawat Yun Nahi Karte
-
Tumhari Ik Nazar Pe Faisla Hai Zindagi Ka Maseeha Ho Ke Bemaron Se Ghaflat Yun Nahi Karte
-
Maseeha Aur Tum In Kufr Ki Baaton Se Baaz Aao Khuda Ko Chor Kar But Ki Ibadat Yun Nahi Karte
-
Aap Ne Jo Kaha Wohi Thek Sahi Mera Kehna Bi Kuch Bura Tu Nahi
-
K Eid Ka Din Hai Gale Aj Tu Mil Lay Zalim Rasm-e Dunya B Hai Moqa B Hai Dastoor B Hai
Poet Qamar Badayuni


