Jee nahi karta hai ab rehne ko pakistan mein

pakistan-shayari

Jee nahi karta hai ab rehne ko pakistan mein
Koy mujh ko bahar nikalu is azaab jaan se

Gandagi ka dhair jagah jagah mojood hai
Niklny ka dil nahi karta bahar imaan se

Tooti sarkain ja baja mun chiratti hain
Koy zimma daari nahi laita koy jaye jaan se

Bijli pani dainay se yeh aajiz hain qoum ko
Par vote lainay aajate hain barri hi shaan se

Malik o qoum ka khoon choos liya unhon ne sara
Phir bhi aiwanon mein baithy hain itminan se

Koy to ho jo unko bhi poochnay wala ho
Koy chori ka samaan le aaye unkay khandan se

Ellahi aasra tera hai tairay hi hain bande
Nikaal day bahar hamein is sir charrhey tufaan se

Phool tha yeh watan ab dhool hi dhool hai
Dua hai jald khatam hon masail pakistan se

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments