The ghazal
Read it in Urdu script-
Dil mein ik lehar si uthi hai abhi Koi taaza hawa chali hai abhi
-
Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi Aur ye chot bhi nai hai abhi
-
Shor barpa hai khana-e-dil mein Koi deewar si giri hai abhi
-
Bhari duniya mein ji nahin lagta Jaane kis cheez ki kami hai abhi
-
Tu shareek-e-sukhan nahin hai to kya Ham-sukhan teri khamushi hai abhi
-
Yaad ke be-nishan jazeeron se Teri aawaz aa rahi hai abhi
-
Shahr ki be-charagh galiyon mein Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
-
So gaye log us haweli ke Ek khirki magar khuli hai abhi
-
Tum to yaaro abhi se uth baithe Shahr mein raat jagti hai abhi
-
Waqt achchha bhi aayega 'nasir' Gham na kar zindagi pari hai abhi



