The nazm
Read it in Urdu script-
Barishon Ke Mosam Mein Wo Jo Apne Kamrey Ki
-
Khirkiyon Ko Band Kr Ke Badlon Ke Jane Ka
-
Intezaar Karte Hain Wo Bhi Ik Zamane Mein
-
Barishon Ki Bondon Se Khelte Rahy Hon Gey
-
Chodhwein Ki Raaton Mein Jald Sone Walo Ki
-
Chandni Se Maazi Mein Dosti Rahi Ho Gi
-
Husn o Ishq Ki Baatain Aaj Waste Jin Ke
-
Kuch Wuqat Nahi Rakhten Bhole Basray Lamhon Mein
-
Tot Kar Kisi Ko Woh Chahte Rahy Hon Gey
-
Wo Jo Apny Gham Par Bhi Aankh Nam Nahi Karte
-
Kal Kisi Ki Khatar Wo Khob Ro Chukay Hon Gey
-
Dard Aashna Ho Kar Ashk Kho Chukay Ho Gey
Submitted by Hammad