Tamam tazkiro main azeem tazkirah hai dost ka
Maano to sabse aala or nirala safar hai dost ka
Dosti me har sakhsee pahlu ka zikra kar lete hai log
Itemade itna hai ki dil se qadar karte hai dost ka
Kabhi tabit karke lagta hai zamane me kuchh talaf kiya
Milne ke baad utna hi fikr maloom hota hai dost ka
Kisi ke dosti ka tazkirah jab bhi dekhta hu main
Guzastah zamane ka manjar nazar ata hai dost ka
Tumne to dosti ka har farz kamil ki hai Azhar
Is hayat-e safar me hamesha mutaffir ho dost ka
Submitted By: Azhar Sabri