Main Nashe Mein Hun – Ghazal

Yaaro Muje Maaf Rakho Main Nashe Mein Hun
Ab Do Tu Jaam Khali Hi Do, Main Nashe Mein Hun
Aik Aik Qart-e Dor Main Yunhi Hi Muje Bi Do
Jam-e Sharab Par Na Karo, Main Nashe Mein Hun
Masti Se Barhami Hai Meri, Guftagu Ke Bech
Jo Chaho Tum Bi Muj Ko Kahu, Main Nashe Mein Hun
Ya Hathon Hath Lo Muje, Manind Jaam-e May
Ya Thori Door Sath Chalo, Main Nashe Mein Hun
Ma’azoor Hun, Jo Paon Mere Be Tarah Pare
Tu Sargaran Tu Muj Se Na Ho, Main Nashe Mein Hun
Nazak Mazaj Aap Qayamat Hain Mir Ji
Joon Shesha Mere Munh Na Lago, Main Nashe Mein Hun

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments