Bewafa Kehnse Se Kia Wo Bewafa Ho Jaye Ga

urdu-poetry-nice

Bewafa Kehne Se Kia Wo Bewafa Ho Jaye Ga
Tere Hote Is Sift Ka Dosra Ho Jaye Ga

Shart Kar Lo Phir Muje Barbad Hona Bi Qabol Hai
Khak Mai Mil Kar Tu Hasal Mud’da Ho Jaye Ga

Sar Na Ho Ga Dosh Par Tu Kia No Ho Gi Guftagu
Hichkyon Se Shukar Qatal Ka Ada Ho Jaye Ga

Seena Tora Dil Mai Chutki Le Jigar Zakhmi Kya
Kia Khabar Thi Teer Bi Teri Ada Ho Jaye Ga

Mere Kehne Mai Hai Dil Jab Tak Mere Pehlu Mai Hai
Aap Le Li Jiye Isay Ye Aap Ka Ho Jaye Ga

Sath Un Ke Jaan Bi Arman Bi Jayen Gey Aaj
Subah Se Pehle Rawana Qafla Ho Jaye Ga

Mai Milon Talwon Se Aankhein Wo Kahin Samjon Ga Main
Yaad Rakh Pheka Agar Rang Hina Ho Jaye Ga

Phir Wohi Jagre Ka Jagra Agar Qam Keh Dya
Taigh Ka Mansookh Sara Faisla Ho Jaye Ga

Kis Khushi Mai Haye Kesa Ranj Phela Kia Karon
Kia Khabar Thi Hanste Hanste Wo Khafa Ho Jaye Ga

Hashar Tak Kun Baat Jaye Kun Pare Ghairon Ke Munh
Ghar Mai Samjhota Hamara Aap Ka Ho Jaye Ga

Aank Se Hai Wasal Ka Iqrar Dil Dugda Mai Hai
Tum Zuban Se Apni Keh Do Gey Tu Kia Ho Jaye Ga

Zulm Se Gar Zibah Bi Kar Do Muje Parwa Nahi
Lutf Se Darta Hun Ye Meri Qaza Ho Jaye Ga

Us Ne Chera Tha Muje Tum Jaan Do Gey Kab Hamain
Keh Dia Main Ne Bi Jab Wa’ada Wafa Ho Jaye Ga

Yun Sawal Wasal Pe Tala Kya Barson Koi
Sabar Kar Muztir Na Ho Tera Kaha Ho Jaye Ga

Lakh Dunya Mai Haseen Hon Lakh Horain Khuld Main
Muj Ko Jo Tu Hai Wo Koi Dosra Ho Jaye Ga

Toba Bi Kar Li Thi Ye Bi Nasha Ki Thi Aik Tarang
Aap Samjhe Tay Ke Bekhud Parsa Ho Jaye Ga

Submitted By: Rekhta

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments