The poem
Read it in Urdu script-
Hai Aap Ke Honton Pe Ju Muskan Wagera Qurban Gaye Is Pe Dil-o Jan Wagera
-
Bali Jo Yunhi Muft Mai Badnam Hoi Hai Thaily Mai Tu Kuch Aur Tha Saman Wagera
-
Ab Hosh Nahi Koi K Badam Kahan Hain Ab Apni Hatheli Pe Hain Dandan Wagera
-
Kis Naz Se Wo Nazam Ko Keh Dete Hain Nasri Jab Us Ke Khata Hote Hain Aozan Wagera
-
Jamhorait Ik Tarz Hakomat Hai K Jis Main Ghoron Ki Tarah Bikte Hain Insan Wagera
-
Har Shirt Ki Boshirt Bna Dali Ham Anwar Yun Chak Kya Ham Ne Greban Wagera



