Skip to content
SadPoetry
EN
Ab Kis Se Khain Aur Kon Sune Jo Hal Tumhare Baad Hua — Noshi Gilani

Jo Haal Tumhare Baad Hua By Noshi Gilani

Noshi Gilani 5 couplets
  1. Ab Kis Se Khain Aur Kon Sune Jo Hal Tumhare Baad Hua Is Dil Ki Jheel Se Aankhon Mai Ik Khwab Bahot Barbad Hua

  2. Ye Hijr Hwa Bi Dushmn Hai Is Naam Ke Sare Rango Ki Wo Naam Jo Mere Honton Par Khushbu Ki Tarah Abad Hua

  3. Is Shehr Mai Kitne Chehray Thay, Kuch Yaad Nahi Sab Bhol Gaye Ik Shahks Kitabon Jesa Tha Wo Shakhs Zbnai Yad Hoa

  4. Wo Apne Gaon Ki Galian Thi Dil Jin Mai Nachta Gata Tha Ab Is Se Farq Nahi Parta Nashad Hoa Ya Shad Hoa

  5. Be Nam Staish Rehti Thi un Gehri Sanwlai Aankhon Mai Aesa Tu Kabi Socha Bi Na Tha Dil Ab Jitna Be Dad Hoa

Report a mistake

More by Noshi Gilani

All poems