The ghazal
Read it in Urdu script-
Apne Ihsaas Se Cho Kar Muje Sandal Kar Do Main Ke Sadiyon Se Adhora Hon Mukamal Kar Do
-
Na Tumhain Hosh Rahe Aur Na Muje Hosh Rahe Is Qadar Toot Ke Chaho Muje Pagal Kar Do
-
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango Apne Hath Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do
-
Dhop Hi Dhop Hoon Main Toot Ke Barso Muj Par Me Tu Sehra Hon Muje Pyar Ka Badal Kar Do
-
Us Ke Saye Main Mere Khawab Mehak Uthain Gay Mere Chehray Pe Umeedon Bhra Aanchal Kar Do
-
Apnay Honton Se Koi Mhr Lgao Muj Par Ik Nazar Pyar Se Dekho Muje Ghayal Kar Do


