Sitaron Se Uljata Ja Raha Hun

firaq-Gorakhpuri-ghazal

Sitaron Se Uljata Ja Raha Hun
Shab Farqat Bohat Gabrha Raha Hun

Tere Gham Ko Bhi Kuch Behla Raha Hun

Yaqeen Hai Haqeqat Khul Rahi Hai
Ghuman Ye Hai Ko Dhoke Kha Raha Hun

Agar Mumkin Ho Le Le Apni Aahat
Khabar Do Husn Ko Aa Raha Hun

Hadain Husn-O Mohabat Ki Mila Kar
Qayamat Par Qayamat Dha Raha Hun

Khabar Hai Tujh Ko Aey Zabt-E Mohabat
Tere Hathon Mein Lutta Ja Raha Hun

Asar Bhi Le Raha Hun Teri Chup Ka
Tujhe Qayal Bhi Karta Ja Rah Hun

Bharam Tere Sutam Ka Khul Chuka Hai
Main Tujh Se Aj Kun Sharma Raha Hun

Inhein Mein Raaz Hain Gulbarion Ke
Main Jo Chingariya Barsa Raha Hon

Jo In Masoom Aankhon Ne Diye Thay
Wo Dhokay Aj Tak Kha Raha Hun

Tere Pehlu Main Kun Hota Hai Mehsoos
Keh Tujh Se Dor Hota Ja Raha Hun

Had Jo Ro Karam Se Barh Chala Husn
Nigha Yar Ko Yaad Aa Raha Hun

Jo Uljhi Thi Kabi Aadam Ke Hathon
Wo Guthi Aj Tak Suljha Raha Hun

Mohabat Ab Mohabat Ho Chali Hai
Tuje Kuch Bholta Ja Raha Hun

Ajal Bhi Jin Ko Sun Kar Jhoomti Hai
Wo Naghme Zindagi Ke Ga Raha Hun

Ye Sunata Hai Mere Paon Ki Chap
Firaq Apni Kuch Aahat Pa Rah Hun

Poet: Firaq GorakhPuri

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments