The ghazal
Read it in Urdu script-
Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar Dekha Tu He Aya Nazar Jidhar Dekha
-
Jan Se Ho Gaye Badan Khali Jis Taraf Tu Ne Aankh Bhar Dekha
-
Nala Firyad Aah Or Zari Aap Se Ho Saka So Kr Dekha
-
In Labon Ne Na Ki Masehai Ham Ne So So Tarah Se Mar Dekha
-
Zor Aashiq Mizaj Hai Koi Dard Ko Qissa Mukhtasir Dekha


