The ghazal
Read it in Urdu script-
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai Ham Ko Ab Tak Aasqhi Ka Wo Zamana Yaad Hai
-
Ba-Hazaran Iztarab O Sad Harazan Ishtiaq Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagana Yaad Hai
-
Bar Bar Uthna Usi Janab Nigah-E Shoq Ka Aur Tera Ghurge Se Wo Aankhein Lgana Yaad Hai
-
Tujh Se Milte Hai Wo Be Bak Ho Jana Mera Aur Tera Danton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai
-
Khech Lena Wo Mere Parde Ka Kona Dafa'tan Aur Dupatte Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai
-
Jaan Kar Sota Tuje Wo Qasad Pabosi Mera Aur Tera Thukra Ke Sar Wo Muskrana Yaad Hai
-
Tuj Ko Jab Tanha Kabi Pana Tu Azrah-E Lihaz Hal-E Dil Baton Hi Baton Mein Jitana Yaad Hai
-
Jab Sawa Mere Tumhara Koi Dewana Na Tha Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai
-
Ghair Ki Nazron Se Back Kar Sab Ki Marzi Ke Khilaf Wo Tera Chori Chupe Raaton Ko Aana Yaad Hai
-
Aa Gya Gr Wasal Shab Bhi Kahen Zikr Firaq Wo Tera Ro Ro Ke Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
-
Dhopar Ki Dhop Mein Mere Bulane Ke Liye Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai
-
Aaj Tak Nazron Mein Hai Wo Suhbar Raaz-O Niyaz Apna Jana Yaad Hai Tera Bulana Yaad Hai
-
Methi Methi Cher Kar Batain Nirali Pyar Ki Zikr Dushman Ka Wo Baton Mein Urana Yaad Hai
-
Dekhna Mujh Ko Jo Bargishta Tu So So Naaz Se Jab Mana Leta Tu Phir Khud Roth Jana Yaad Hai
-
Chori Chori Ham Se Tum Aa Kar Milay Thay Jis Jagah Mudaten Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai
-
Shoq Mein Mehndi Ke Wo Be Dast-O Pa Hona Tera Aur Mera Wo Cherna Wo Gud-Gudana Yaad Hai
-
Bawajod Adae Atiqa Hasrat Mujhe Aaj Tak Ehad Hiwas Ka Wo Fisana Yaad Hai


