Sham Churanay Niklay

urdu-nazam

Teri Khatir Ham Ik Shaam Churane Nikle
Dard Mai Dhal Ke Khud Ko Aazmane Nikle

Phir Inhi Tarsi Nazron Se Tmasha Dekha
Baat Itni Se Thi K Sab Zakhm Purane Nikle

Gham Ki Aaghosh Mai Khud Ko Smeta Aise
Raat Itni Hai Tu Phir Ham Sog Mnane Nikle

Wo Jo Nazron Mai Tlatam Tha Dekha Sab Ne
Raaz Jo Aankhon Se Ayan Thay Wo Chupane Nikle

Submitted By: Shabeeb Hashmi

Sanam Pochta Nahi Haal Mera

ashgar-ghazal-poetry2

Sanam Pochta Nahi Haal Mera
Jeena Hua Jata Hai Mahal Mera

Kabi Mere Bhi Din Badlen Gey
Kisi Din Usay Aye Ga Khayal Mera

Agar Us Ke Taghaful Ka Yehi Aalim Raha
Phir Tanha Guzre Ga Naya Saal Mera

Ab Tu Usay Milne Ki Hajat Nahi Rahi
Us Ki Judai Ban Gyi Hai Wisal Mera

Submitted By: M. Asghar Mirpuri