Ankhon main malaal hai Aey dost

Ankhon main malaal hai Aey dost
Mujko tera khial hai aey dost
Zindagi bewafa hi sehi
Pyar to lazwaal hai aey dost
Hijraton k azaab mosam main
Tumse milna mohaal hai Aey dost
Raat din tuj hi ko main sochta hon
Ab to ye haal hai aey dost
Maal o Dolat k hasool ki khatir
Har soo qatal o qataal hai aey dost
Lakh bura tujko kahe ye dunya
Mgr to be misaal hai aey dost

Azeem tajkirah hai dosk ka

dosti-shayari

Tamam tazkiro main azeem tazkirah hai dost ka
Maano to sabse aala or nirala safar hai dost ka

Dosti me har sakhsee pahlu ka zikra kar lete hai log
Itemade itna hai ki dil se qadar karte hai dost ka

Kabhi tabit karke lagta hai zamane me kuchh talaf kiya
Milne ke baad utna hi fikr maloom hota hai dost ka

Kisi ke dosti ka tazkirah jab bhi dekhta hu main
Guzastah zamane ka manjar nazar ata hai dost ka

Tumne to dosti ka har farz kamil ki hai Azhar
Is hayat-e safar me hamesha mutaffir ho dost ka

Submitted By: Azhar Sabri