Ye barish ka baadal

Boondon ny gir kay gazab sa hai daala
Mosam main mosam ajab sa hai daala
Ye barish ka baadal bhi mujh sa hai ‘RANJ’
Jo chalka zara , sab badal sa hai daala

Submitted By: Ahmad Eiqaan RANJ

Barish Main Yaad

Barish Ki Ye Pehli Boondain
Kesa Jadu Kartee Hain
Dil Say Khoon K Katray Lay Kar
Meri Ankhain Bhartee Hain
Barish K Is Deerachay Say
Kitnay Manzar Khultay Hain
Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Barish,Pehli Khuwahish,

Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Main Parna
Jo Bhee Kehna Tanha Kehna
Toota Fiqra, Aadha Jumlaa,
Jaltee Sansain, Thandi Aahian,
Bojhal Palkain, Saahir Aankhain
Dhani Jora, Sabz Dupatta,
Lambay Gaisoo, Qatil Khushboo
Read More […]

Kal Ki Us Barish Main

barish-poetry

Kal Ki Us Barish Main
Phir Wohi Sa Manzar Tha
Phir Wohi Si Bondain Thi
Phir Wohi Si Thandak Thi
Phir Wohi Sa Sab Kuch Tha
Par
Kal Ki Us Barish Main
Sath Tum Nahi Thay Tu…
Aankh Nam Si Kitni Thi
Sans Tang Si Kitni Thi
Roh Pyasi Kitni Thi
Ye Udasi Kitni Thi
Kal Ki Us Barish Main

Submitted By: aleeha