Fasana-e ishq

Fasanae-mohabbat

Wo byan kar gaya ek manzar aligar se
Har pal ko trasha or arz kiya apne yar se

Kya pata ye sila milta hai dil lagane ka
Pyar ki kashti ko utara tha bade pyar se

Jakaham jo banta hai wo dikhta nahi jism pe
Or abae chashme bhi rukta nahi abesaar se

Aksar roshni se ek aas dikhti hai zindagi ki
Chiragein jalaei baitha hai us intezar se

Arzemand hai wo sabar rakhte hai nasaaz ke baad
Jeete hai wo hamesha akubat ke ashrar se

Qamar ki chandani rato me wo pal yaad aye to
Dua karna ki shifa mile parwar digar se

Submitted By: Azhar Sabri

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments