Dum Ki Nafsiat

funny-urdu-poetry

Janab Dum Ki Ajab Nafsiat Hoti Hai
Ke Is Ki Jumbash-e Adna Mai Baat Hoti Hai

Wafa Ke Jazbay Ka Izhar Dum Hilana Hai
Jo Dum Khari Hai Wo Nafrat Ka Taziana Hai

Jo Lambi Dum Hai Wo Aali Sifat Hoti Hai
Jo Mukhtasir Hai Bari Wahiat Hoti Hai

Wo Jandar Mukamal Nahi Adhora Hai
Wo Jis Ke Dum Nahi Hoti Hai Wo Landora Hai

Jahan Mai Yun Tu Hai Ooncha Muqam Insan Ka
Magar Landoron Mai Aata Hai Naam Insan Ka

Mai Sochta Hun Jo Insan Ke Dum Lagi Hoti
Kasar Jo Baqi Hai Wo Be Na Reh Gayi Hoti

Wo Apni Jaan Bachane Ko Ye Sapar Leta
Jo Hath Se Nahi Kar Pata Dum Se Kar Leta

Kuch Is Tareqay Se Rad-e Amal Hoa Karta
Guzarti Dil Pe Dum Pe Asar Mila Karta

Khushi Ka Jazba Ubarhta Tu Dum Uchak Jati
Koi Udas Jo Hota Tu Duk Latak Jati

Kisi Pe Dhons Jamata Tu Dum Utha Leta
Kisi Se Dhons Jo Khata Tu Dum Daba Leta

Buzarg Log Jawanon Se Jab Khafa Hote
Zuban Pe Un Ke Ye Alfaz Barmla Hote

Tumhain Khabar Nahi Thi Kesi Aan Baan Ki Dum
Kata Ke Bech Li Tum Ne Tu Khandan Ki Dum

Khain Jo Fateh-e Aazam Koi Khra Hota
Mere Khayal Me Yun Poz De Raha Hota

Bare Gharoor Se Lehra Raha Hai Dum Apni
Bajaye Monchon Ke Sehlaa Raha Hai Dum Apni

Saba Mai Jab Koi Dastoor-e No Bna Karta
Shmar Raye Kuch Is Tarah Se Hoa Karta

Jo Log Is Ke Mwafaq Hai Dum Utha Lain Wo
Jo Log Is Ke Mukhalif Hai Dum Gira Dain Wo

Ameer Logo Ki Dum Main Anghotian Hoti
Anghotion Mai Nageenon Ki Botiyan Hoti

Ghumand Aur Bi Bhar Jata Aur Itrate
Ye Log Jab Ghari Apni Dum Mai Latkate

Haseen Log Kisi Tarah Se Nibah Lete
Na Milta Kuch Tu Faqat Dum Ko Hi Ranga Lete

Jo Muflasi Se Apni Koi Ghlata
Tu Hasaptal Mai Le Ja Ke Dum Kata Aata

Haseen Logo Ki Pholon Se Dum Dhaki Hoti
Ke Phuljari Se Fazaon Mai Chat Rahi Hoti

Dumon Se Phir Qad-e Zeba Kuch Aur Saj Jate
Kahan Ki Zulf Ke Dum Hi Mai Dul Ulaj Jate

Ye Iftikhar Jo Ham Aashiqon Ko Mil Jata
Har Ik Ghuncha Umeed Dil Ko Khul Jata

Kisi Ko Bazam Mai Ham Apna Yun Pta Dete
Bjaye Paon Dbane Ke Dum Daba Dete

Kabi Kamand Ka Jo Kaam Dum Se Ho Jata
Ham Aashiqon Ka Bara Naam Dum Se Ho Jata

Ishara Kar Ke Hmain Dum Wo Apni Latkaate
Ham Un Ke Khothe Pe Dum Ko Pakar Kar Char Jate

Hamari Rah Ka Har Kanta Phol Ho Jaye
Agar Dua Ye Hamari Qabol Ho Jaye

Ke Aadmi Ke Liye Dum Bohat Zrori Hai
Bghair Dum Ke Har Ik Aarzo Landori Hai

Submitted By: Rekhta

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments