Mard-e-Musalman – Allama Iqbal Poetry

mard-e-moman

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan

Fitrat Ka Sarod-E Azli Is Ke Shab-O Roz
Aahang Mein Yakta Sifat Surat-E Rehman

Bante Hain Meri Kargah-E Fikar Mein Anjum
Le Apnay Muqadar Ke Sitare Ko Tu Pehchan

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments